Tuesday 30 August 2011

Na tera qurb na baada hai kia kiya jaye


Na tera qurb,na baada hai,kia kiya jaye
Phir aaj dukh bhi ziyada hai,kia kiya jayeHumain bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aataMizaj-e-yaar bhi sada hai,kia kiya jayeKuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hainKuch apna dil bhi kushada hai,kia kiya jayeWoh meherban hai magar dil kia hirs bhi kam hoTalab,karam se ziyada hai,kia kiya jayeNa us se tark-e-ta’alluq ki baat kar payainNa humdami ka irada hai,kia kiya jayeSulook-e-yaar se dil doobne laga hai FarazMagar yeh mehfil-e-aada hai,kia kiya jaye

No comments:

Post a Comment