Tuesday 30 August 2011

Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal


Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal
khud nigahen dard e dil ki tarjuman hen aaj kalDil say umday aa rahay hen hasraton kay karwanaur aankhen karwan dar karwan he aaj kalWo rukh e rangeen, wo chashm e naaz, wo zulf e darazarghuwan o nargis o sumbal jawan hen aaj kalkheench laya unko mera jazb e dil bala e baammeri khatir husn ki ruswaiyan hen aaj kalAllah Allah tabish e rukhsar e rangeen ki baharmuztarib, abr e shufq mein bijliyan hen aaj kalHaay aaghaz e muhabbat ki tarb angezyanhasrat o hirman, gham ki dastan hen aaj kalSabza o shabnam, naseem o bo e gul hen ham kinaraur woh mujh say Qamar, daman kushan hen aaj kal

No comments:

Post a Comment