Tuesday 30 August 2011

hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay


hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura’ni hum na likhaiN gay wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth’taa hosafh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay thi’thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha’eiN gaytujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa’oNrehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNaaiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thihamaiN chupke se thi ik din chura’ni hum na likhaiN gaythakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat mainpari dil ki KARrI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gay

No comments:

Post a Comment