Tuesday 30 August 2011

Na tera qurb na baada hai kia kiya jaye


Na tera qurb,na baada hai,kia kiya jaye
Phir aaj dukh bhi ziyada hai,kia kiya jayeHumain bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aataMizaj-e-yaar bhi sada hai,kia kiya jayeKuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hainKuch apna dil bhi kushada hai,kia kiya jayeWoh meherban hai magar dil kia hirs bhi kam hoTalab,karam se ziyada hai,kia kiya jayeNa us se tark-e-ta’alluq ki baat kar payainNa humdami ka irada hai,kia kiya jayeSulook-e-yaar se dil doobne laga hai FarazMagar yeh mehfil-e-aada hai,kia kiya jaye

Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay


Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay
sunnay walay raat katnay ki dua denay lagayKis nazar say aap ne dekha dil e majroh kozakhm jo kuch bhar chalay thay phir hawa denay lagayJuz zameen koo e janaan kuch nahi paishe nigahjis ka darwaza nazar aaya sadaa denay lagayBaghban nay aag di jab gulshan ko merayjin pe takya tha wohi pattay hawa denay lagayMutthiyon me khak lekar dost aay waqt e dafnzindagi bhar ki muhabbat ka sila denay lagayaayna ho jayay mera ishq un kay husn kakia maza ho dard agar khud hi dawa denay lagay

Cahandni raat mein us paikar-e-seemaab k saath


Cahandni raat mein us paikar-e-seemaab k saath
main bhi urdta raha ek lamha be khwab k saathKis mein himmat hay keh badnam ho saay ki tarahkaon aawara phiray jagtay mahtab k saathAaj kuch zakhm naya lehja badal kar aayaaj kuch log nayay mil gayay ahbaab k saathSekrdon abr andheray ko bardhaen lekinchand mansoob na ho gar ek shab taab k saathDil ko mehroom na kar aks e junoon say Mohsinkoi wirana bhi ho qarya shadaab k saath

Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay


Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay
doori mein to ho nahi sakta jo aapas me hona haywoh aaya to saray maosam badlay badlay lagtay henya kanton ki saij bichhi thi ya pholon ka bichhona hayAbhi to khushk bohat hay maosam barish ho to sochen gayham nay apnay armanon ko kis mitti me bona hayKanch ki gurdyan taaq me kab tak aap sajaen gayaaj nahi to kal tootay ga jis ka naam khilona hayBarday barday daway hen lekin chotay chotay qad Shehzadphankni hay kuch khaak in ko kuch pani inhen balona hay

Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho


Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho
aey logo khamosh raho han aey logo khamosh rahoSuch acha, par us kay jaloo mein, zeher ka hay ek piyala bhipagal ho> kiun nahaq ko suqrat bano, khamosh rahoHaq acha, par us kay liyay koi aur maray to aur achatum bhi koi mansoor ho jo sooli pe chardho, khamosh rahoun ka ye kehna sooraj hi dharti kay pheray karta haysar aankhon par, sooraj hi ko ghoomnay do, khamosh rahoMajlis mein kuch habs hay aur zanjeer ka aahan chubhta hayphir socho, han phir socho, han phir socho, khamosh rahoGarm aansoo aur thandi aahen, man mein kia kia maosam henis baghya kay bhaid na kholo, sair karo, khamosh rahoAankhen moond kinaray betho, man kay rakho band kiwardINSHA JEE lo dhaga lo aur lub si lo, khamosh raho

Nazar jahan say bacha kay dekho jo faslay hain mita kay dekho


Nazar jahan say bacha kay dekho
jo faslay hain mita kay dekhoYe zindagi muskura utthay gikisi ko apna bana kay dekhoTumhari chahat mein mit chalay hamkabhi to palken utha kay dekhoBana day shaaer jo aadmi kowoh chaot tum bhi to kha kay dekhokoi bhi apna nahi jahan meinkisi ko bhi aazma kay dekhojahan ho jhuknay say sarbulandiwahan pe sar ko jhuka kay dekhoBATOOL niklay ga naam uskajo taar dil kay hila kay dekho

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo


Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo
Ye Zindagi To Hai Rehmat Isay Saza Na KahooNa Janay Wo Kon C Majboriyon Ka Qaidi HoWo Sath Chor Gaya Hai To Bewafa Na KahooTamam Shehar Ne Nazroon Pe Kyun Uchala MujeYehi It'tfaq Tha Tum Isay Hadsa Na KahooYe Aur Baat Ke Dushman Hua Hai Wo Aaj MagerWo Mera Dost Tha Kal Ussay Bura Na KahooMeray Aaib Mujhe Ungliyon Pe GinwaoMeray Peechay Mujhe Bura Na Kahoo

Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye


Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye
Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoyeTo Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de,Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoyeMain Muskurata hua Aaine mai ubhrunga,Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoyeTujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi,Mohabbat ko boht Paaidar karte hoyeWo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mein,Main un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye

Janay too kia dhoondh raha hai basti mein wiranay mein


Janay too kia dhoondh raha hai basti mein wiranay mein
laila to aey qais milay gi dil kay daolat khanay meinJanam janam kay saton dukh hen us kay mathay par tehreerapna aap mitana ho ga, ye tehreer mitanay meinMehfil mein us shakhs kay hotay, kaif kahan say aata haypaimanay say aankhon mein ya aankhon say paimanay meinKis ka kis ko haal sunaya, too nay aey afsana goham nay aek tujhi ko dhoondha, is saaray afsanay meIs basti mein itnay ghar thay, itnay chehray, itnay logaur kisi kay dar par ponhcha? aesa hosh diwanay mein?

bhulata lakh hon lekin barabar yaad aatay hein


bhulata lakh hon lekin barabar yaad aatay hein
elaahi tark e ulfat par woh kiun kar yaad aatay henNa chherd aey hamnasheen! kaifiyat e sehba kay afsanaysharab e bekhodi kay mujh ko saghar yaad aatay henRaha kartay hen qaid e hosh mein aey waay nakamiwoh dasht e khud framoshi kay chakkar yaad aatay henNahi aati to un ki yaad maheenon tak nahi aatimagar jab yaad aatay hen to aksar yaad aatay henHaqiqat khul gai HASRAT teray tark e muhabbat kitujhay to ab woh pehlay say bhi bardh kar yaad aatay hen

Hay justajoo keh khoob say hay khoob tar kahan


Hay justajoo keh khoob say hay khoob tar kahan
ab therti hay dekhyay jakar nazar kahanYa RUB is ikhtilat ka anjam ho bakhairtha usko ham say rabt magar is qadar kahanAek umr chahyay keh gawara ho nesh e umrrakhti hay aaj lazzat zakh e jigar kahanHam jis pe mar rahay hen woh hay baat hi kuch auraalam mein tujh say lakh sahi too magar kahanHoti nahi qubool duaa tark e ishq kidil chahta na ho to zuban mein asar kahanHALI nishat e naghma o may dhodhtay raho abaayay ho waqt e subh, rahay raat bhar kahan

Dil ishq mein be payan, soda ho to aisa ho


Dil ishq mein be payan, soda ho to aisa ho
darya ho to aesa ho, sehra ho to aisa hoAey qais e junoon paisha, pinhaai e do aalamwehshi ho to aesa ho, ruswa ho to aisa hoHam say nahi rishta bhi, ham say nahi milta bhihay paas woh betha bhi, dhoka ho to aisa howoh bho raha begana, ham nay bhi na pehchanahan aey dol e diwana, apna ho to aisa hoIs dard mein kia kia hay, ruswaai bhi lazzat bhikanta ho to aesa ho, chbhta ho to aisa hoHam nay yehi manga tha, us nay yehi bakhsha haybanda ho to aesa ho, data ho to aisa ho

sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon


sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon 
shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa hoon tere Gham ko bhi kuch behlaa rahaa hoon jahaN ko bhi samjhaa rahaa hoon yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai gumaaN ye hai k dhokhay kha rahaa hoon agar mumkin ho lay lo apni ahaT Khabar do husn ko main aa rahaa hoon haden husn-o-ishq kii milaakar qayamat par qayamat Dhaa rahaa hoon Khabar hai tujhko aye zabt-e-muhabbat tere haathon men lut ta ja rahaa hoon asar bhi le raha huN teri chup kaatujhe khayal bhi kara jaa rahaa hoon bharam tere sitam kaa khul chukaa haimain tujhse aaj kyon sharma rahaa hoon tere pehlo men kyon hotaa hai mehsusk tujhsay dur hota jaa rahaa hoon muhabbat ab muhabbat ho chali haitujhe kuchh bhultaa sa jaa rahaa hoon

Mujh ko hairat ki salibon say utaray koi


Mujh ko hairat ki salibon say utaray koi
be sadaa sheher mein ro kar hi pukaray koiKal tujhay dekhna chaha to ajab baat hoiaankh par tank gaya chaand sitaray koiMain teri zaat say bahir bhi teri zaat mein honkaisay dikhayay mujhay meray kinaray koiIs nayay daor mein bachchon pe ye kia waqt pardaaag mein jhonk gaya un kay ghubaray koikis tarah nawo chalay itnay chardhay pani meinteri yaadon ka sumandar to utaray koi

Sab wa hain darichay to hawa kiun nahi aati


Sab wa hain darichay to hawa kiun nahi aati
chupp kiun hay,parindon ki sadaa kiun nahi aatiGul khilnay ka maosam hay to phir kiun nahi khiltaykhamosh hen kiun perde, sabaa kiun nahi aatiBekhowab kiwardon pe hawa deti hay dastaksoye howay logon ko jaga. kiun nahi detiSuntay hain keh manzar hay badalnay ko chaman kaphir uski gawahi ki nidaa, kiun nahi aatiKiun aek say lagtay hen yahan sab hi maosamkhushboo kisi maosam say juda,kiun nahi aatisona hay mujhay ab to wohi oordh kay Shabnammeray liyay pholon ki rida, kiun nahi aati

Aaj roothay howay sajan ko bohat yaad kia

Aaj roothay howay sajan ko bohat yaad kia
apnay ujrday howay gulshan ko bohat yaad kiaJab kabhi gardish e taqdeer ne ghera hay hamengesoo e yaar ki uljhan ko bohat yaad kiaShama ki joot par jaltay howay parwano nayek tray shola daman ko bohat yaad kiaJis kay mathay par nayi subh ka sooraj ho gaham ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiaAaj tootay howay sapnon ki bohat yaad aayiaaj bitay howay sawan ko bohat yaad kiaHam sar e toor bhi mayoos tajalli hi rahayus dar e yaar ki chilman ko bohat yaad kiaMutmien ho hi gayay daam e qafas me sahgarham aseeron nay nasheman ko bohat yaad kia

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain


Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain
khayaban khayaban iram dekhtay hainDil aashuftagan khal e kunj dehen kaysawaida me sair e adam dekhtay hainTeray sar o qamat say ek qad e aadamqayamat kay fitnay ko kam dekhtay hainTamasha! keh aey mehw e aaynadaritujhay kis tamanna say ham dekhtay hainBana kay faqeeron ka ham bhais Ghalib tamasha e ahl e karam dekhtay hain

Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh


Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh
karam ko dekh, sitam haay daastan ko na dekhYe bekali, ye azyat, ye gham ye mehroominigah kar dil e betaab par, jahan ko na dekhFaraib kha, meray bujhtay howay tabassum kanigah e lutf say meray dil e tapaan ko na dekhBujhay charagh ki kam maaigi pe ashk bahaapalat palat kay sitaron kay karwan ko na dekhElaaj jor o jafa tark e rasm o rah nahijo ho sakay to nibha, kho e dostan ko na dekhTera maqaam sitaron say hay paray SHEZAADbujhay bujhay say iradon say aasman ko na dekh

Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai


Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai, 
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai, Kisika Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam, Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai, Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur BeQabu, Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai, Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile, Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai, Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale, Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai...

Aahan ki surkh taal pe hum raqs kar gaye


Aahan ki surkh taal pe hum raqs kar gaye
taqdeer teri chaal pe hum raqs kar gayePanchhi banay to rafat e aflaak pe ham urdayahl e zameen kay haal pe hum raqs kar gayeKanton say ahtijaaj kia hay kuch is tarahgulshan ki daal daal pe ham raqs kar gayeWaa,iz! faraib e shaoq nay hum ko lubhayafirdaos kay khayal pe ham raqs kar gayayHar atbaar husn e nazar say guzar gayehar halqa haay jaal pe hum raqs kar gayeManga bhi kia to qatra e chashm tarfaatSaghar teray sawaal pe hum raqs kar gaye

Dastoor yahan bhi andhay henfarman yahan bhi andhay hain


Dastoor yahan bhi andhay henfarman yahan bhi andhay hain
aey dost khuda ka naam na lay emaan yahan bhi andhay hainTaqdeer kay kalay kambal me azmat kay fasanay liptay hainmazmoon yahan bhi behray hen unwan yahan bhi andhay hainZardaar tawaqqo rakhta hay nadaar ki gardhi mehnat parmazdoor yahan bhi dewanay hen zishan yahan bhi andhay hainkuch log bharosa kartay hen tasbih chaltay dano parbechain yahan yazdan ka junoon,insaan yahan bhi andhay hainBenaam jafa ki rahon par kuch khak si urdti dekhi haiheran hen dilon kay aaynay nadan yahan bhi andhay hainBerang shafaq si dhalti hay benoor sawairay hotay hainsha,air ka tasawwur bhooka hay sultaan yahan bhi andhay hain

wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay


wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi daikhain gayzakhm per sabt kar na lab apnayzakhm ko chaara gar bhi daikhain gayhijr ki shab say haoslay apnaybach gayay to sahar bhi daikhain gayraat honay do,log sonay dochand ko dar-ba-dar bhi daikhain gayik dua dil say chup kay maangi thius dua ka assar bhi daikhain gayik puraana safar to khatm howaik nayi rahguzar bhi daikhain gaygin to lainay do baykafan lasheinbay sada baam-o-dar bhi daikhain gaychairr kar dil ki rakh ko mohsin*ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay

suno wo jab satata hai kaha dil doob jata hai


suno wo jab satata hai 
kaha dil doob jata hai kaha dill dobta kab hai btaya jab satata hai kaho kab phol khiltay hein kaha jab muskurata hai dharakta hay kaho dill kabkaha jab pass ata hai kaho dill mein hay kia uss kay kaha wo kab batata hai suno barham sa hay shayed ?kahan younhi banata hai kaha kuch tu hawa ho ga ?kaha wo aazmata haiburi shay ishq hay kiion kar ?kaha shab bhar jagata hai kaho wo bazm kesi thee?kaha wo kab bulata hai kaho uss ay bicharnay ki ?bicharna kiss ko bhata hai kaho milnay ki khhuwahish hai ?kaha bedard naata hai batao raakh mein kia haisitara jhilmilata hailaraz jati hein kab palkein ?nazar jab wo jamata hai thehar jati hay dharkan kab?nazar say jab girata hai

Hum sar khul jawo bawaqt e maey parasti ek din


Hum sar khul jawo bawaqt e maey parasti ek din
warna ham chherden gay rakh kar uzr e masti ek dinGhazza e aawij binayay aalam imkan na hois bulandi kay nasibon me hay pasti ek dinQarz ki pitay thay maey lekin samajhtay thay keh hainrang laaway gi hamari faqa masti ek dinNaghma haay gham ko bhi aey dil ghanimat janyaybe sadaa ho jayay ga ye saaz e hasti ek dindhool dhappa us sarapa naaz ka shewa nahiham hi kar bethay thay Ghalib paish dasti ek din

Dasht-e-wafaa mein shma-e-muhabbat jalayay kaon


Dasht-e-wafaa mein shma-e-muhabbat jalayay kaon?
naqsh e wafaa bana kay zameen par dikhayay kaon?Baad e sabaa main janti hon teri shokhiyanaesay mein naghma haay wafaa gungunayay kaon?Ahl e wafaa ko kia hay gharz sangdil batateray dar e naaz pe sar ko jhukayay kaon?Dil zakhm zakhm aur jigar paash paash haysheher e wafaa mein apna lahoo aazmayay kaon?Roothi hoi hon aur Qamar main udaas honaesay mein aa kay piyar say mujh ko manaae kaon?

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon


Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon
ghambheer andheron mein sahar dekh rahi honDil ka sahar o shaam tardapna woh machalnadekha nahi jaata hay magar dekh rahi honALLAH karay soz e daron aur ziyadakuch aur nayay zakhm e jigar dekh rahi honGhabra kay palat jaaon meray bus mein nahi haygo samnay anjam e safar dekh rahi honaankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil meinbarsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi honAfsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhiaazurda mein tum ko jo QAMAR dekh rahi hon

Jis ko aksar socha tha tanhaai mein


Jis ko aksar socha tha tanhaai mein
shamil hay woh shakhs meri ruswaai meinMujh say mat poocho woh chehra kaisa thadoob gaya main aankhon ki gehraai meinJagtay rehnay ki kitni targhiben thinus ki bojhal thaki hoi angrdaai meinPiyar bhi karta hay woh be parwaai saynadani ka rang bhi hay danaai meinWoh ek pal ko rootha to mehsoos hoajaisay beet gaya ek saal judaai meinJaao apnay jaisay log talash karokia paao gay Mohsin say harjaai mein

jo hai wajood mein us ko gumaan ki nazar na kar


jo hai wajood mein us ko gumaan ki nazar na kar
ye maan le ke haqeeqat hi jism-o-jaaN hai yahannahiN hai jo, wohi maujood-o-beykaraN hai yahanajab yaqeen pas-e-parda-e-gumaaN hai yahanna ho udaas, zameeN shaq nahiN huyi hai abhikhushi sey jhoom, abhi sar pe aasmaN hai yahanyahaN sukhan jo fasana-taraaz ho wo kareyjo baat sach hay wo naqabil-e-bayaaN hai yahankahaN se kab ye chali baat, kia haqeeqat hai?azal se aik hi be-rabt dastaaN hai yahanna ranj kar, ke yahaN raftani haiN saarey malaalna kar malaal, ke har ranj rayigaaN hai yahan

Rahzan aadmi rahnuma aadmi


Rahzan aadmi rahnuma aadmi
barha ban chuka ha KHUDA aadmiHaey takhliq ki karpardaziyankhak si cheez ko keh dia aadmiZidagi khanqag shuhood o baqaaur loh mazaar fana aadmiGojti rahay gi falak dar falakhay mashiyat ki aesi sadaa aadmius ki morten pojtay pojtayaek tasweer si ban gaya aadmi