Tuesday 30 August 2011

Na tera qurb na baada hai kia kiya jaye


Na tera qurb,na baada hai,kia kiya jaye
Phir aaj dukh bhi ziyada hai,kia kiya jayeHumain bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aataMizaj-e-yaar bhi sada hai,kia kiya jayeKuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hainKuch apna dil bhi kushada hai,kia kiya jayeWoh meherban hai magar dil kia hirs bhi kam hoTalab,karam se ziyada hai,kia kiya jayeNa us se tark-e-ta’alluq ki baat kar payainNa humdami ka irada hai,kia kiya jayeSulook-e-yaar se dil doobne laga hai FarazMagar yeh mehfil-e-aada hai,kia kiya jaye

Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay


Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay
sunnay walay raat katnay ki dua denay lagayKis nazar say aap ne dekha dil e majroh kozakhm jo kuch bhar chalay thay phir hawa denay lagayJuz zameen koo e janaan kuch nahi paishe nigahjis ka darwaza nazar aaya sadaa denay lagayBaghban nay aag di jab gulshan ko merayjin pe takya tha wohi pattay hawa denay lagayMutthiyon me khak lekar dost aay waqt e dafnzindagi bhar ki muhabbat ka sila denay lagayaayna ho jayay mera ishq un kay husn kakia maza ho dard agar khud hi dawa denay lagay

Cahandni raat mein us paikar-e-seemaab k saath


Cahandni raat mein us paikar-e-seemaab k saath
main bhi urdta raha ek lamha be khwab k saathKis mein himmat hay keh badnam ho saay ki tarahkaon aawara phiray jagtay mahtab k saathAaj kuch zakhm naya lehja badal kar aayaaj kuch log nayay mil gayay ahbaab k saathSekrdon abr andheray ko bardhaen lekinchand mansoob na ho gar ek shab taab k saathDil ko mehroom na kar aks e junoon say Mohsinkoi wirana bhi ho qarya shadaab k saath

Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay


Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay
doori mein to ho nahi sakta jo aapas me hona haywoh aaya to saray maosam badlay badlay lagtay henya kanton ki saij bichhi thi ya pholon ka bichhona hayAbhi to khushk bohat hay maosam barish ho to sochen gayham nay apnay armanon ko kis mitti me bona hayKanch ki gurdyan taaq me kab tak aap sajaen gayaaj nahi to kal tootay ga jis ka naam khilona hayBarday barday daway hen lekin chotay chotay qad Shehzadphankni hay kuch khaak in ko kuch pani inhen balona hay

Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho


Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho
aey logo khamosh raho han aey logo khamosh rahoSuch acha, par us kay jaloo mein, zeher ka hay ek piyala bhipagal ho> kiun nahaq ko suqrat bano, khamosh rahoHaq acha, par us kay liyay koi aur maray to aur achatum bhi koi mansoor ho jo sooli pe chardho, khamosh rahoun ka ye kehna sooraj hi dharti kay pheray karta haysar aankhon par, sooraj hi ko ghoomnay do, khamosh rahoMajlis mein kuch habs hay aur zanjeer ka aahan chubhta hayphir socho, han phir socho, han phir socho, khamosh rahoGarm aansoo aur thandi aahen, man mein kia kia maosam henis baghya kay bhaid na kholo, sair karo, khamosh rahoAankhen moond kinaray betho, man kay rakho band kiwardINSHA JEE lo dhaga lo aur lub si lo, khamosh raho

Nazar jahan say bacha kay dekho jo faslay hain mita kay dekho


Nazar jahan say bacha kay dekho
jo faslay hain mita kay dekhoYe zindagi muskura utthay gikisi ko apna bana kay dekhoTumhari chahat mein mit chalay hamkabhi to palken utha kay dekhoBana day shaaer jo aadmi kowoh chaot tum bhi to kha kay dekhokoi bhi apna nahi jahan meinkisi ko bhi aazma kay dekhojahan ho jhuknay say sarbulandiwahan pe sar ko jhuka kay dekhoBATOOL niklay ga naam uskajo taar dil kay hila kay dekho

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo


Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo
Ye Zindagi To Hai Rehmat Isay Saza Na KahooNa Janay Wo Kon C Majboriyon Ka Qaidi HoWo Sath Chor Gaya Hai To Bewafa Na KahooTamam Shehar Ne Nazroon Pe Kyun Uchala MujeYehi It'tfaq Tha Tum Isay Hadsa Na KahooYe Aur Baat Ke Dushman Hua Hai Wo Aaj MagerWo Mera Dost Tha Kal Ussay Bura Na KahooMeray Aaib Mujhe Ungliyon Pe GinwaoMeray Peechay Mujhe Bura Na Kahoo